Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-e-nab Aatish Ka

rakhe hai rang kuchh saqi sharab-e-nab aatish ka

muqattar kya kiya le kar gul-e-shadab aatish ka

mere ye garm aansu ponchh mat dast-e-nigarin se

ki un aankhon se rahta hai rawan sailab aatish ka

tah-e-mizhgan nihan rakhte hain hum laKHt-e-dil-e-sozan

yahan KHashak mein rakkha hai aKHgar dab aatish ka

nigah-e-garm se us ki dil-e-betab ru-kash hai

harif aaKHir hua ye para-e-simab aatish ka

jo sail-e-ashk o aah-e-garm ko Tuk dijiye ruKHsat

nishan dariya ka gum ho nam ho nayab aatish ka

shakeb o tab o hosh o sabr soz-e-gham se sab sulga

hua toama gharaz apna tamam asbab aatish ka

araq us shola-gun aariz pe kya suna-e-ilahi hai

nahin dekha hai hum ne rabt baham aab aatish ka

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-e-nab Aatish Ka In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-e-nab Aatish Ka is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-e-nab Aatish Ka for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Rakhe Hai Rang Kuchh Saqi Sharab-e-nab Aatish Ka in PDF.