Tujhe Kuchh Yaad Hai Pahla Wo Aalam Ishq-e-pinhan Ka

tujhe kuchh yaad hai pahla wo aalam ishq-e-pinhan ka

shigaf-e-parda se kya tha ishaara chashm-e-fattan ka

suna hai kab ye chhuTti hai pakaD gosha na daman ka

samajh kajal na phaila saya hai teri hi mizhgan ka

yahan dam khinchna do dopahar mushkil hai ho jata

dhuan ghaTta hai jab sine mein apni aah-e-sozan ka

na ki ghamza ne jalladi na un aankhon ne saffaki

jise kahte hain dil apna wahi qatil hua jaan ka

shigaf-e-sina se az-bas-ki dud-e-dil nikalta hai

siyah ab ja-ba-ja se rang hai apne gareban ka

ye dil hai qatra-e-KHun se bhi kam allah ri jurat

hua hai tispe ru-kash us KHadang andaz mizhgan ka

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Kuchh Yaad Hai Pahla Wo Aalam Ishq-e-pinhan Ka In English By Famous Poet Mamnoon Nizamuddin. Tujhe Kuchh Yaad Hai Pahla Wo Aalam Ishq-e-pinhan Ka is written by Mamnoon Nizamuddin. Read famous Poem Tujhe Kuchh Yaad Hai Pahla Wo Aalam Ishq-e-pinhan Ka for youth and Student by Mamnoon Nizamuddin. Free Download Tujhe Kuchh Yaad Hai Pahla Wo Aalam Ishq-e-pinhan Ka in PDF.