Kisi Bhi Shai Pe Aa Jaane Mein Kitni Der Lagti Hai

kisi bhi shai pe aa jaane mein kitni der lagti hai

magar phir dil ko suljhane mein kitni der lagti hai

zara sa waqt lagta hai kahin se uTh ke jaane mein

magar phir lauT kar aane mein kitni der lagti hai

bala ka rup ye tewar sarapa dhaar hire ki

kisi ke jaan se jaane mein kitni der lagti hai

faqat aankhon ki jumbish se bayan hota hai afsana

kisi ko haal batlane mein kitni der lagti hai

sabhi se ub kar yun to chale aae ho KHalwat mein

magar KHud se bhi uktane mein kitni der lagti hai

shuur-e-mai-kada is ki ijazat hi nahin deta

wagarna jam chhalkane mein kitni der lagti hai

ye shishe ka badan le kar nikal to aae ho lekin

kisi patthar se Takrane mein kitni der lagti hai

(471) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Bhi Shai Pe Aa Jaane Mein Kitni Der Lagti Hai In English By Famous Poet Manish Shukla. Kisi Bhi Shai Pe Aa Jaane Mein Kitni Der Lagti Hai is written by Manish Shukla. Read famous Poem Kisi Bhi Shai Pe Aa Jaane Mein Kitni Der Lagti Hai for youth and Student by Manish Shukla. Free Download Kisi Bhi Shai Pe Aa Jaane Mein Kitni Der Lagti Hai in PDF.