Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun

safar ke tasawwur se sahma hua hun

baDi der se yun hi Thahra hua hun

udhar Dubte ja rahe hain sitare

idhar main KHayalon mein uljha hua hun

jalane ke qabil na likhne ke laeq

main kaghaz hun sada pa bhiga hua hun

sambhaale hun KHud ko baDi kawishon se

mujhe chhu na lena main chaTKHa hua hun

musalsal paDi hai kaDi dhup mujh par

mera rang dekho main kaisa hua hun

na baqi hai saya na barg-o-samar hain

main mausam ki sazish ka mara hua hun

thamengi kabhi to muKHalif hawaen

yahi soch kar KHud mein simTa hua hun

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun In English By Famous Poet Manish Shukla. Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun is written by Manish Shukla. Read famous Poem Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun for youth and Student by Manish Shukla. Free Download Safar Ke Tasawwur Se Sahma Hua Hun in PDF.