Aapsi Baaton Ko AKHbar Nahin Hone Diya

aapsi baaton ko aKHbar nahin hone diya

hum ne ye kamra hawa-dar nahin hone diya

bad-gumani ko kiya chae pila kar ruKHsat

nashte ka bhi talabgar nahin hone diya

dil ke zaKHmon ki KHabar hone na di ashkon ko

gham ka aankhon se sarokar nahin hone diya

saKHt lafzon mein bhi deti hai maza baat us ki

us ne lahje ko dil-azar nahin hone diya

rakh diye honTon pe ungli ki tarah honT us ne

ek shikwa bhi numudar nahin hone diya

us ne nadan ho, kah kar hamein uksaya tha

umr bhar us ko samajhdar nahin hone diya

chahaten pain hain 'mannan' wafaon ke tufail

jazba-e-ishq ko ayyar nahin hone diya

(488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aapsi Baaton Ko AKHbar Nahin Hone Diya In English By Famous Poet Mannan Bijnori. Aapsi Baaton Ko AKHbar Nahin Hone Diya is written by Mannan Bijnori. Read famous Poem Aapsi Baaton Ko AKHbar Nahin Hone Diya for youth and Student by Mannan Bijnori. Free Download Aapsi Baaton Ko AKHbar Nahin Hone Diya in PDF.