Charcha Is Ek Baat Ka Dasht-o-daman Mein Tha

charcha is ek baat ka dasht-o-daman mein tha

kis ka latif hath zuhur-e-chaman mein tha

kanTa tha husn-e-zat ka karta na kyun KHalish

yak-guna haz-o-lutf bhi lekin chubhan mein tha

us shaKHs ke zamir ne kar li thi KHud-kushi

pauda hawas ka jis ki tamanna ke ban mein tha

sayyara-e-gunah ka saya jidhar paDa

tare siyah-posh the suraj gahan mein tha

yalghaar kar rahi thi mozahim pe dam-ba-dam

kis darja garm KHun ana ke badan mein tha

go meri baat par use 'hadi' yaqin to tha

shak-o-guman ka rang bhi us ke chalan mein tha

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charcha Is Ek Baat Ka Dasht-o-daman Mein Tha In English By Famous Poet Manohar Lal Hadi. Charcha Is Ek Baat Ka Dasht-o-daman Mein Tha is written by Manohar Lal Hadi. Read famous Poem Charcha Is Ek Baat Ka Dasht-o-daman Mein Tha for youth and Student by Manohar Lal Hadi. Free Download Charcha Is Ek Baat Ka Dasht-o-daman Mein Tha in PDF.