Insan Ke Kitne Rup Hain Ru-e-ana Se Puchh

insan ke kitne rup hain ru-e-ana se puchh

saz-e-gharaz se maslahat-e-KHushnuma se puchh

tere safar ki rah mein kitne sarab hain

meri nigah se puchh mere naqsh-e-pa se puchh

kitne hain sanp hujra-e-iKHlas mein na gin

maili rida se puchh darida qaba se puchh

ek sirf tere qasr pe bijli giri thi kyun

mat puchh us ke adl se apni KHata se puchh

kya kya mila hai zindagi-e-be-sabaat se

kaliyon se puchh ghuncha-e-rangin-ada se puchh

aasi ki kya shanaKHt hai masum ki hai kya

ye baat bargah-e-saza-o-jaza se puchh

itni kaDi thi dhup tere raste mein kyun

'hadi' ye aaj KHaliq-e-karbobala se puchh

(403) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insan Ke Kitne Rup Hain Ru-e-ana Se Puchh In English By Famous Poet Manohar Lal Hadi. Insan Ke Kitne Rup Hain Ru-e-ana Se Puchh is written by Manohar Lal Hadi. Read famous Poem Insan Ke Kitne Rup Hain Ru-e-ana Se Puchh for youth and Student by Manohar Lal Hadi. Free Download Insan Ke Kitne Rup Hain Ru-e-ana Se Puchh in PDF.