Abhi Hai Dhyan Kahan Wasl Ke Farizon Par

abhi hai dhyan kahan wasl ke farizon par

abhi wo kaDhti phirti hai dil qamizon par

qayam karta hun akasr main dil ke kamre mein

ki jam na jae kahin gard us ki chizon par

yahi to log masiha hain zindagani ke

hazar rahmaten hon ishq ke marizon par

kisi anar-kali ke KHayal mein ab tak

ghulam-gardishen matam-kunan kanizon par

jala rahi hai mere baadalon ke pairahan

phuwar girti hui malmalin qamison par

ghazal kahi hai kisi be-charagh lamhe mein

shab-e-firaq ke kajal-zada azizon par

ki kis dayar mein rahna hai kis ne kitne din

musafiron ke ye likkha gaya hai wison par

wo ghaur karti rahi hai tamam din 'mansur'

mere libas ki uljhi hui krizon par

(364) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Hai Dhyan Kahan Wasl Ke Farizon Par In English By Famous Poet Mansoor Aafaque. Abhi Hai Dhyan Kahan Wasl Ke Farizon Par is written by Mansoor Aafaque. Read famous Poem Abhi Hai Dhyan Kahan Wasl Ke Farizon Par for youth and Student by Mansoor Aafaque. Free Download Abhi Hai Dhyan Kahan Wasl Ke Farizon Par in PDF.