Raat Ki Aankh Mein Mere Liye Kuchh KHwab Bhi The

raat ki aankh mein mere liye kuchh KHwab bhi the

ye alag baat ki har KHwab mein girdab bhi the

zindagi banjh si aurat thi ki jis ke dil mein

bund ki pyas bhi thi aankh mein sailab bhi the

zaKHm kyun risne lage ek tere chhu lene se

dukh samundar the magar mauja-e-payab bhi the

chand ki kirnon mein aahaT tere qadmon ki suni

aur phir chand ke Dhal jaane ko betab bhi the

tujh se jo lamha mila lamha-e-mashrut mila

wasl ki saaton mein hijr ke aadab bhi the

azhdaha paniyon ka shahr-e-nawa TuT gaya

matami aankh mein aansu mere be-ab bhi the

kitna aabaad mere sath tha sayon ka hujum

kaise tanhai ke sahra the jo shadab bhi the

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ki Aankh Mein Mere Liye Kuchh KHwab Bhi The In English By Famous Poet Mansoor Ahmad. Raat Ki Aankh Mein Mere Liye Kuchh KHwab Bhi The is written by Mansoor Ahmad. Read famous Poem Raat Ki Aankh Mein Mere Liye Kuchh KHwab Bhi The for youth and Student by Mansoor Ahmad. Free Download Raat Ki Aankh Mein Mere Liye Kuchh KHwab Bhi The in PDF.