Wo Itna Kam Se Kam To Mehrban Hai

wo itna kam se kam to mehrban hai

mera hi nam zeb-e-dastan hai

saliqe se jo karta dushmani bhi

sitamgar ab koi aisa kahan hai

kahani shauq ki hai mere itni

ki ek miTTi ka pani par makan hai

mujhe ab kya kisi shai ki zarurat

tera gham jab mata-e-jawedan hai

bhala kaise yaqin is par karun main

mera mahbub mujh se bad-guman hai

kahani facebook par hai raqam ab

mohabbat apni mashhur-e-jahan hai

mujhe 'KHushtar' watan apna hai pyara

zamin par KHuld ye hindostan hai

(404) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Itna Kam Se Kam To Mehrban Hai In English By Famous Poet Mansoor Khushtar. Wo Itna Kam Se Kam To Mehrban Hai is written by Mansoor Khushtar. Read famous Poem Wo Itna Kam Se Kam To Mehrban Hai for youth and Student by Mansoor Khushtar. Free Download Wo Itna Kam Se Kam To Mehrban Hai in PDF.