Larazti Chhat Shikasta Baam-o-dar Se Baat Karni Hai

larazti chhat shikasta baam-o-dar se baat karni hai

mujhe tanhai mein kuchh apne ghar se baat karni hai

bikharne ke marahil mein sahaara kyun diya mujh ko

meri miTTi ne dast-e-kuza-gar se baat karni hai

kiya tha jaan de ke hum ne kar-e-ashiyan-bandi

jalaya kis liye barq-o-sharar se baat karni hai

muqabil husn jab aae sitam-zadon ki mahfil mein

zaban ko qaid karna hai nazar se baat karni hai

badal Dala hai duniya ko jo firaunon ki basti mein

KHuda ne aaj shayad phir bashar se baat karni hai

mere panw mein Dali hai ye zanjir-e-asaish

jo sae banTta hai us shajar se baat karni hai

jo mujh mein dusra hai sab jise 'mansur' kahte hain

mujhe bhi aaj us shorida-sar se baat karni hai

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Larazti Chhat Shikasta Baam-o-dar Se Baat Karni Hai In English By Famous Poet Mansoor Multani. Larazti Chhat Shikasta Baam-o-dar Se Baat Karni Hai is written by Mansoor Multani. Read famous Poem Larazti Chhat Shikasta Baam-o-dar Se Baat Karni Hai for youth and Student by Mansoor Multani. Free Download Larazti Chhat Shikasta Baam-o-dar Se Baat Karni Hai in PDF.