TuT Jata Hai Sitaron Ka Bharam Raat Gae

TuT jata hai sitaron ka bharam raat gae

jagmagate hain tere naqsh-e-qadam raat gae

kya bataen jo guzarti hai hamare dil par

yaad aate hain jab apnon ke sitam raat gae

gharq ho jati hai jab nind mein sari duniya

jag uThte hain adibon ke qalam raat gae

roz aate hain sada de ke chale jate hain

dil ke darwaze pe kuchh ahl-e-karam raat gae

rok leti hai teri yaad sahaara ban kar

Dagmagate hain agar mere qadam raat gae

jin ki ummid mein hum din ko jiya karte hain

TuT jate hain wahi qaul-o-qasam raat gae

jin ki qismat mein nahin din ka ujala 'mansur'

un charaghon mein jala karte hain hum raat gae

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuT Jata Hai Sitaron Ka Bharam Raat Gae In English By Famous Poet Mansoor Usmani. TuT Jata Hai Sitaron Ka Bharam Raat Gae is written by Mansoor Usmani. Read famous Poem TuT Jata Hai Sitaron Ka Bharam Raat Gae for youth and Student by Mansoor Usmani. Free Download TuT Jata Hai Sitaron Ka Bharam Raat Gae in PDF.