Tamam Shahr Mein Tira-shabi Ka Charcha Tha

tamam shahr mein tira-shabi ka charcha tha

ye aur baat ki suraj ufuq pe nikla tha

ajib wajh-e-mulaqat thi meri us se

ki wo bhi meri tarah shahr mein akela tha

main sab samajhti rahi aur muskuraati rahi

mera mizaj azal se payambaron sa tha

main us ko kho ke bhi us ko pukarti hi rahi

ki sara rabt to aawaz ke safar ka tha

main gul-parast bhi gul se nibah kar na saki

shuur-e-zat ka kanTa bahut nukila tha

sab ehtisab mein gum the hujum-e-yaran mein

KHuda ki tarah mera jurm-e-ishq tanha tha

wo tere qurb ka lamha tha ya koi ilham

ki us ke lams se dil mein gulab khilta tha

mujhe bhi mere KHuda kulfaton ka ajr mile

tujhe zamin pe baDe karb se utara tha

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamam Shahr Mein Tira-shabi Ka Charcha Tha In English By Famous Poet Mansoora Ahmad. Tamam Shahr Mein Tira-shabi Ka Charcha Tha is written by Mansoora Ahmad. Read famous Poem Tamam Shahr Mein Tira-shabi Ka Charcha Tha for youth and Student by Mansoora Ahmad. Free Download Tamam Shahr Mein Tira-shabi Ka Charcha Tha in PDF.