Aankh Bhar Aai Kisi Se Jo Mulaqat Hui

aankh bhar aai kisi se jo mulaqat hui

KHushk mausam tha magar TuT ke barsat hui

din bhi Duba ki nahin ye mujhe malum nahin

jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui

koi hasrat koi arman koi KHwahish hi na thi

aise aalam mein meri KHud se mulaqat hui

ho gaya apne paDosi ka paDosi dushman

aadamiyyat bhi yahan nazr-e-fasadat hui

isi honi ko to qismat ka likha kahte hain

jitne ka jahan mauqa tha wahin mat hui

is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile

aur jawani mein buDhape se mulaqat hui

(485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Bhar Aai Kisi Se Jo Mulaqat Hui In English By Famous Poet Manzar Bhopali. Aankh Bhar Aai Kisi Se Jo Mulaqat Hui is written by Manzar Bhopali. Read famous Poem Aankh Bhar Aai Kisi Se Jo Mulaqat Hui for youth and Student by Manzar Bhopali. Free Download Aankh Bhar Aai Kisi Se Jo Mulaqat Hui in PDF.