Gham-e-dauran Bhi Nahin Hai Gham-e-jaanan Bhi Nahin

gham-e-dauran bhi nahin hai gham-e-jaanan bhi nahin

saKHt mushkil mein hai ab dil ki gham-e-jaan bhi nahin

mujh se naraaz hain sab jaan-o-jahan-o-jaanan

main ki dil se bhi juda shai hun pareshan bhi nahin

dil ne kuchh aur kahan aql ne kuchh aur kahi

sun ke donon ki na mani ki main nadan bhi nahin

had-e-imkan-e-tasawwur mein sahi mera suragh

lekin ai dil mujhe ab DhunDhna aasan bhi nahin

ek wo din ki teri did pe qurban thi nigah

ek ye din ki tere wasl ka arman bhi nahin

jaane kis KHitta-e-aflak se utra 'arif'

jo ek insan ki surat bhi hai insan bhi nahin

(400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham-e-dauran Bhi Nahin Hai Gham-e-jaanan Bhi Nahin In English By Famous Poet Manzoor Arif. Gham-e-dauran Bhi Nahin Hai Gham-e-jaanan Bhi Nahin is written by Manzoor Arif. Read famous Poem Gham-e-dauran Bhi Nahin Hai Gham-e-jaanan Bhi Nahin for youth and Student by Manzoor Arif. Free Download Gham-e-dauran Bhi Nahin Hai Gham-e-jaanan Bhi Nahin in PDF.