Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha

main jin bulandiyon pe tha jin se gira bhi tha

mera KHayal hai ki wahan par KHuda bhi tha

utra zamin par to nigahen chamak uThin

ye husn garche KHuld se kam tha juda bhi tha

us ne zamin par bhi na jine diya mujhe

ye shewa-e-saza ki KHuda ko rawa bhi tha

pesh-e-nazar tha hazrat-e-adam ke jo shajar

thi lazzat-e-samar to KHayal-e-baqa bhi tha

shayad ki sochta bhi ho mere liye wo husn

mujh ko nikal kar jo mujhe dekhta bhi tha

kyun us ne arsh-o-farsh pe apna liya mujhe

kya tujh sa do-jahan mein koi dusra bhi tha

'arif' wo kar raha tha tabassum bhi zer-e-lab

jab aalam-e-itab mein mujh se KHafa bhi tha

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha In English By Famous Poet Manzoor Arif. Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha is written by Manzoor Arif. Read famous Poem Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha for youth and Student by Manzoor Arif. Free Download Main Jin Bulandiyon Pe Tha Jin Se Gira Bhi Tha in PDF.