Badan Ko ZaKHm Karen KHak Ko Labaada Karen

badan ko zaKHm karen KHak ko labaada karen

junun ki bhuli hui rasm ka iada karen

tamam agle zamanon ko ye ijazat hai

hamare ahd-e-guzishta se istifada karen

unhen agar meri wahshat ko aazmana hai

zamin ko saKHt karen dasht ko kushada karen

chalo lahu bhi charaghon ki nazr kar denge

ye shart hai ki wo phir raushni ziyaada karen

suna hai sachchi ho niyat to rah khulti hai

chalo safar na karen kam se kam irada karen

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Ko ZaKHm Karen KHak Ko Labaada Karen In English By Famous Poet Manzoor Hashmi. Badan Ko ZaKHm Karen KHak Ko Labaada Karen is written by Manzoor Hashmi. Read famous Poem Badan Ko ZaKHm Karen KHak Ko Labaada Karen for youth and Student by Manzoor Hashmi. Free Download Badan Ko ZaKHm Karen KHak Ko Labaada Karen in PDF.