Na Sunti Hai Na Kahna Chahti Hai

na sunti hai na kahna chahti hai

hawa ek raaz rahna chahti hai

na jaane kya samai hai ki ab ki

nadi har samt bahna chahti hai

sulagti rah bhi wahshat ne chun li

safar bhi pa-barahna chahti hai

talluq ki ajab diwangi hai

ab us ke dukh bhi sahna chahti hai

ujale ki duaon ki chamak bhi

charagh-e-shab mein rahna chahti hai

bhanwar mein aandhiyon mein baadban mein

hawa masruf rahna chahti hai

(424) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sunti Hai Na Kahna Chahti Hai In English By Famous Poet Manzoor Hashmi. Na Sunti Hai Na Kahna Chahti Hai is written by Manzoor Hashmi. Read famous Poem Na Sunti Hai Na Kahna Chahti Hai for youth and Student by Manzoor Hashmi. Free Download Na Sunti Hai Na Kahna Chahti Hai in PDF.