Dil Ka Ek Ik Dagh Sham-e-zer-e-daman Ho Gaya

dil ka ek ek dagh sham-e-zer-e-daman ho gaya

hum jahan pahunche wahin jashn-e-charaghan ho gaya

chaak-e-dil ki baat thi chaak-e-jigar ki baat thi

muft mein ruswa mera chaak-e-gareban ho gaya

raqs kar yun ek ek band-e-anasir TuT jae

ai junun pabandiyon se dil pareshan ho gaya

kis se puchhun irtiqa ki kaun si manzil hai ye

aadmi KHud aadmi ka dushman-e-jaan ho gaya

chhoDiye afsana-e-insan ko insan ab kahan

wo to bechaara halak-e-kufr-o-iman ho gaya

phul mahrum-e-tabassum aur saba mazur-e-raqs

ye gulistan kya hua ai 'naqsh' zindan ho gaya

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ka Ek Ik Dagh Sham-e-zer-e-daman Ho Gaya In English By Famous Poet Maqbool Naqsh. Dil Ka Ek Ik Dagh Sham-e-zer-e-daman Ho Gaya is written by Maqbool Naqsh. Read famous Poem Dil Ka Ek Ik Dagh Sham-e-zer-e-daman Ho Gaya for youth and Student by Maqbool Naqsh. Free Download Dil Ka Ek Ik Dagh Sham-e-zer-e-daman Ho Gaya in PDF.