Maqam-e-amn Qafas Kya Ki Aashiyan Bhi Nahin

maqam-e-amn qafas kya ki aashiyan bhi nahin

sukun wahan bhi nahin tha sukun yahan bhi nahin

mera kalam payam-e-amal na ho lekin

tamam-tar nigah-o-dil ki dastan bhi nahin

meri nigah mein manzil hai aam insan ki

maqam-e-dar nahin bazm-e-mah-ruKHan bhi nahin

ye bar shiddat-e-ehsas ka hai nadanon

garan hai zist magar is qadar garan bhi nahin

hai naqsh-e-KHun-e-jigar se har ek fan ko sabaat

jo ye nahin to koi naqsh-e-jawedan bhi nahin

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqam-e-amn Qafas Kya Ki Aashiyan Bhi Nahin In English By Famous Poet Maqbool Naqsh. Maqam-e-amn Qafas Kya Ki Aashiyan Bhi Nahin is written by Maqbool Naqsh. Read famous Poem Maqam-e-amn Qafas Kya Ki Aashiyan Bhi Nahin for youth and Student by Maqbool Naqsh. Free Download Maqam-e-amn Qafas Kya Ki Aashiyan Bhi Nahin in PDF.