Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga

ek ye dil jo tujhe de ke ganwa dene laga

aur ek chiz koi is ke siwa dene laga

aisi KHushbu hai ki ab zabt nahin hai mumkin

main hawaon ko koi raaz bata dene laga

ab mere samne rasta hi kuchh aisa hai ki main

apni manzil ko bhi raste se haTa dene laga

wo jise dekh ke jalne mein maza lena tha

waqt wo dagh-e-tamanna bhi miTa dene laga

jis ki gardish mein mah-o-mehr hon dohrae hue

aise manzar ko main mehwar se haTa dene laga

kya zamana tha tere wasl ki betabi ka

kya zamana hai tera hijr maza dene laga

ek hasrat mein hua itna mujhe ranj ki main

hath aai hui duniya ko ganwa dene laga

itna mahrum-e-tamanna hun ki ab aaKHir-kar

main ne jo chaha wahi mujh ko KHuda dene laga

aab-e-sada jo barasta hai dariche se pare

aatish-e-mai ko zara aur baDha dene laga

mujh ko sunna tha kisi aur zamane ne 'wafa'

main kisi aur zamane mein sada dene laga

(401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga In English By Famous Poet Maqsood Wafa. Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga is written by Maqsood Wafa. Read famous Poem Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga for youth and Student by Maqsood Wafa. Free Download Ek Ye Dil Jo Tujhe De Ke Ganwa Dene Laga in PDF.