Aae The Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae

aae the jis taraf se wo ek din udhar gae

bargad ka peD kaT gaya sadhu guzar gae

kya zindagi mili unhen tufan ki god mein

do jism ek jism hue aur mar gae

karne lage qayas kahin qatl ho gaya

aandhi ka rang surKH tha sab log Dar gae

ab mujh ko bhul-bhaal gae sab muashqe

sawan ki rut guzar gai dariya utar gae

ek jism mein utar gaya ek sal din-ba-din

ek ek kar ke sahn mein patte bikhar gae

chhup kar mile bichhaD gae aur phir na mil sake

ek pal mein dastan ki takmil kar gae

(423) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Aae The Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae In English By Famous Poet Maratib Akhtar. Aae The Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae is written by Maratib Akhtar. Read famous Poem Aae The Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae for youth and Student by Maratib Akhtar. Free Download Aae The Jis Taraf Se Wo Ek Din Udhar Gae in PDF.