Paiwand-e-nau Zamin Ki Rida Se Laga Diya

paiwand-e-nau zamin ki rida se laga diya

main hissa-e-fana tha fana se mila diya

pal mein sameT li hai sadi si tawil raat

phaila ke ek din ko zamana bana diya

us ne mujhe dikha ke meri samt dekh kar

titli ka par hatheli pe rakh kar uDa diya

har waqt ek ye dhun hai ki mein tajziya karun

mujh ko mere junun-e-tajassus ne kya diya

(426) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paiwand-e-nau Zamin Ki Rida Se Laga Diya In English By Famous Poet Maratib Akhtar. Paiwand-e-nau Zamin Ki Rida Se Laga Diya is written by Maratib Akhtar. Read famous Poem Paiwand-e-nau Zamin Ki Rida Se Laga Diya for youth and Student by Maratib Akhtar. Free Download Paiwand-e-nau Zamin Ki Rida Se Laga Diya in PDF.