Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka

dil hai raushan ki hai dil mein ruKH-e-raushan un ka

zer-e-fanus-e-badan shama hai joban un ka

did un ki hai visal un ka tasawwur un ka

jaan un ki hai jigar un ka hai tan-man un ka

hain wo kashana-e-dil mein kabhi aankhon mein kabhi

KHana tan hai mera ghar bhi aur aangan un ka

hai tasawwur jo unhin ka to wo hain pesh-e-nigah

ho KHayal un ke siwa gar to hai rahzan un ka

hain tumhin mein wo tum apne ko to dekho ho kaun

jin ko kahte ho ki hai arsh pe maskan un ka

jaan un ki hai har ek jaan kahan par wo nahin

donon aalam mein yahi ramz hai muzman un ka

baiThe baiThe wo kiya karte hain har gul pe nazar

dil-e-ashiq hai magar sair ka gulshan un ka

wo hamare hain hum un ke hain unhin ka ye zuhur

jaan un ki hai yahi jaan bhi tan-man un ka

aa ke ghar mein mere 'mardan' na wo jaane paen

ta-qayamat na chhuTe hath se daman un ka

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka In English By Famous Poet Mardan Safi. Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka is written by Mardan Safi. Read famous Poem Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka for youth and Student by Mardan Safi. Free Download Dil Hai Raushan Ki Hai Dil Mein RuKH-e-raushan Un Ka in PDF.