Ajib Tarz-e-taKHatub Rawa Hua Ab Ke

ajib tarz-e-taKHatub rawa hua ab ke

KHulus lahjon se yaksar juda hua ab ke

guzashta rut ki tarah ahd mat bhula dena

pukarta hai ye kamra saja hua ab ke

hamein to yaad bahut aaya mausam-e-gul mein

wo surKH phul sa chehra khila hua ab ke

Thahar, Thahar ke guzarta hai zard mausam bhi

hamein to jina bhi jaise saza hua ab ke

na phul mahke na sabza uga na barf giri

tumhaara kahna hi yaro baja hua ab ke

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Tarz-e-taKHatub Rawa Hua Ab Ke In English By Famous Poet Marghoob Ali. Ajib Tarz-e-taKHatub Rawa Hua Ab Ke is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Ajib Tarz-e-taKHatub Rawa Hua Ab Ke for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Ajib Tarz-e-taKHatub Rawa Hua Ab Ke in PDF.