Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai

palkon par moti rakkhe hain sochon par sannaTa hai

tabiron ka shor bahut hai KHwabon par sannaTa hai

aaankhon se baaten karne ka mausam hai KHamosh raho

aur to sab kuchh jaez hai yan lafzon par sannaTa hai

din to KHair guzare hum ne hans kar bhi chup rah kar bhi

lekin jab se bichhDe hain tum se raaton par sannaTa hai

shayad ab mausam ke panchhi aaen to chahkar uDe

chiDiyon ke ghar jab se ujDe peDon par sannaTa hai

kaun se din hain bachchon ke bin raste sune sune hain

koi zulf nahin lahraati galiyon par sannaTa hai

kis se kah kar halke ho len koi ab milta hi nahin

dil mein huk bahut uThti hai honTon par sannaTa hai

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai In English By Famous Poet Marghoob Ali. Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai is written by Marghoob Ali. Read famous Poem Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai for youth and Student by Marghoob Ali. Free Download Palkon Par Moti Rakkhe Hain Sochon Par SannaTa Hai in PDF.