Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain

baaton ke nagar se aa rahe hain

hum apne hi ghar se aa rahe hain

lafzon ke tulua kar ke aafaq

mani ke safar se aa rahe hain

KHamoshiyan bhar ke tan-badan mein

hum barq o sharar se aa rahe hain

taron ke ye jitne qafile hain

imkan-e-sahar se aa rahe hain

in ashkon ka dil se kya talluq

ye shoale jigar se aa rahe hain

bhige hue gham mein sar se pa tak

dariya-e-hunar se aa rahe hain

jitne bhi hain lutf-e-jaan ke mausam

sab dida-e-tar se aa rahe hain

ye gham ke tuyur be-tahasha

ek dil ke shajar se aa rahe hain

'mashkur' hain kis KHayal mein mast

be-KHauf-o-KHatar se aa rahe hain

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain In English By Famous Poet Mashkoor Husain Yaad. Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain is written by Mashkoor Husain Yaad. Read famous Poem Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain for youth and Student by Mashkoor Husain Yaad. Free Download Baaton Ke Nagar Se Aa Rahe Hain in PDF.