Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai

yunhi fareb-e-nazar ki tanab TuTti hai

qadam baDhaiye mauj-e-sarab TuTti hai

jahan chaTakta hai ghuncha zamin-e-alam par

wahin pe tishnagi-e-aftab TuTti hai

naqab uThao to har shai ko paoge salim

ye kaenat ba-taur-e-hijab TuTti hai

darun-e-ab sanwarte hain sad-harim guhar

kanar-e-bahr jo mehrab-e-ab TuTti hai

mukashafat ke TukDe hain zehn ke auraq

kitab utarti nahin hai kitab TuTti hai

bas ek aan mein khulta hai qufl dariya ka

bas ek aan mein qaid-e-hubab TuTti hai

hain is shikast mein KHalq-e-jadid ke asrar

haqiqat aaj bhi ham-rah-e-KHwab TuTti hai

kamal shai hai kamar bhi hasina-e-gham ki

jilau mein le ke kai inqalab TuTti hai

(407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai In English By Famous Poet Mashkoor Husain Yaad. Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai is written by Mashkoor Husain Yaad. Read famous Poem Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai for youth and Student by Mashkoor Husain Yaad. Free Download Yunhi Fareb-e-nazar Ki Tanab TuTti Hai in PDF.