Sakraat Maut Mein Pani Ka KHwab

yun meri qabr bana jaise shabistan-e-nashat

maut ka jashn mana

farsh-e-shabnam pe bichha lal gulabon ki bisat

KHali taqon pe saja zard sharabon ke zuruf

wa darichon pe ba-sad naz-o-ada Tankne aa

bhini KHushbu ke dhanak-rang hariri parde

abhi kuchh der Thahar bano abhi daf na baja

na uTha soi hui kaliyon ke ghungaT na uTha

maut agar jashn-e-mulaqat hai aa jashn mana

ek sitare ko janam de

ek sitara ki jo us maut ki shab raqs kare

maut aur raqs

nind mein bhigi hui palkon pe bedar jalal

dur ek jang-zada dasht mein taswir-e-jamal

sina-e-KHak pe kohon ka tarashida kamal

aa meri banhon mein lahra ke chali aa bano

raushni bujh gai jalne lage badanon ke hisar

dur kafur ki ThanDak mein khaDe hain ashjar

KHushk hai mera gala KHali hai pani ka gilas

apne ashkon se meri pyas bujha

aa meri qabr bana

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sakraat Maut Mein Pani Ka KHwab In English By Famous Poet Masood Munavvar. Sakraat Maut Mein Pani Ka KHwab is written by Masood Munavvar. Read famous Poem Sakraat Maut Mein Pani Ka KHwab for youth and Student by Masood Munavvar. Free Download Sakraat Maut Mein Pani Ka KHwab in PDF.