Aaj Hai Dahr Mein Kya Ek Nai Aafat Ke Siwa

aaj hai dahr mein kya ek nai aafat ke siwa

bughz-o-nafrat ke siwa ranj-o-musibat ke siwa

is tarah chhaya hua hai nigah-o-dil pe tilism

jaise har chiz haqiqat ho haqiqat ke siwa

apne har jabr ko wo mehr-o-wafa kahte hain

hum bhi kuchh nam na den us ko mohabbat ke siwa

hasti-e-ishq ko ab tak na koi jaan saka

warna hai dahr mein kya aur mohabbat ke siwa

har-nafas ek nae tufan ki yurish hai 'hayat'

kis ko ilzam den is daur mein qismat ke siwa

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Hai Dahr Mein Kya Ek Nai Aafat Ke Siwa In English By Famous Poet Masooda Hayat. Aaj Hai Dahr Mein Kya Ek Nai Aafat Ke Siwa is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Aaj Hai Dahr Mein Kya Ek Nai Aafat Ke Siwa for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Aaj Hai Dahr Mein Kya Ek Nai Aafat Ke Siwa in PDF.