Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai

dil o nigah mein ek raushni si lagti hai

tumhaari yaad se wabastagi si lagti hai

ye kya sitam hai mahakti hui bahaaron mein

har ek chehre pe pazhmurdagi si lagti hai

ye kis ke hath mein aaya hai daur-e-paimana

labon pe apne baDi tishnagi si lagti hai

hum apne ghar mein bhi hain ab musafiron ki tarah

har ek chiz yahan ajnabi si lagti hai

har ek sans pe pahra hai na-KHudaon ka

ye zindagi bhi koi zindagi si lagti hai

hazar shauq numayan the jis nazar se kabhi

wahi nigah baDi ajnabi si lagti hai

'hayat' kaun si ab rah iKHtiyar karen

har ek rah baDi ajnabi si lagti hai

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai In English By Famous Poet Masooda Hayat. Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai is written by Masooda Hayat. Read famous Poem Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai for youth and Student by Masooda Hayat. Free Download Dil O Nigah Mein Ek Raushni Si Lagti Hai in PDF.