Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De

dushman ke tanz ko bhi saliqe se Tal de

apne mazaq-e-taba ki aisi misal de

baKHshe bahaar ko jo na shaistagi ka rang

aisi har ek shai ko chaman se nikal de

pichhli ruton ke dagh to sab mand paD gae

ab ke bahaar zaKHm koi la-zawal de

main bhi to rah-rau hun tera rahguzar-e-shauq

thoDi si dhul meri taraf bhi uchhaal de

'masum' saf-goi baDi chiz hai magar

aisa na ho kahin ye musibat mein Dal de

(463) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De In English By Famous Poet Masoom Sharqi. Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De is written by Masoom Sharqi. Read famous Poem Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De for youth and Student by Masoom Sharqi. Free Download Dushman Ke Tanz Ko Bhi Saliqe Se Tal De in PDF.