Humne To Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya

hum ne to justuju ko bhi hai muddaa kiya

yani ki dil ke dard ko husn-e-nawa kiya

har jumbish-e-nazar mein nihan tere inqalab

mujh ko ghaTa diya kabhi mujh ko siwa kiya

ai kash tera husn hi asl-e-hayat ho

teri nazar se hum ne haqiqat ko wa kiya

us dashna-e-nazar ka bhala aur kya jawab

hamdam mein dil ke chaak hi baiTha siya kiya

us rahguzar se ab wo na guzrega ai nadim

kuchh main ne kah diya tha magar us ne kya kiya

main us se sarKHushi mein wahi baat kah gaya

kitna bura kiya are kitna bura kiya

kya kya jatan kiye na mohabbat mein ai nadim

kya puchhte ho kya na kiya aur kya kiya

ab baz-gasht ki koi surat nikal sake

yun to tere baghair bhi ye dil jiya kiya

ek chumti hui si nazar Dal kar

'masud' tum ne ek sanam ko KHuda kiya

(396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne To Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya In English By Famous Poet Masud Husain Khan. Humne To Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya is written by Masud Husain Khan. Read famous Poem Humne To Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya for youth and Student by Masud Husain Khan. Free Download Humne To Justuju Ko Bhi Hai Muddaa Kiya in PDF.