Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain

zindagi ke saz par jalte hue naghmat hain

raqs-farma shoala-e-dil ki tarah zarraat hain

hain bagulon ki tarah tar-e-nafas bahke hue

zindagani ki junun-parwar sabhi aayat hain

naz-farma jin ki tabani pe thi aql-e-bashar

aaj wo KHurshid-o-anjum kitne kam-auqat hain

hum ki the dildari-e-mauj-e-hawadis par nisar

shor-e-tufan se ayaadat dil-nashin jazbaat hain

jin ko rakhti thi moattar teri yaadon ki shamim

tegh ki jhankar mein gum wo hasin din-raat hain

waqt ki mehrab mein ek sham-e-nau raushan karen

raazdan-e-arzu hum waris-e-afat hain

kaun DhunDe garmi-e-ruKHsar-e-KHuban ai 'sarosh'

aatish-e-paikar se shoala-fagan jazbaat hain

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain In English By Famous Poet Mateen Sarosh. Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain is written by Mateen Sarosh. Read famous Poem Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain for youth and Student by Mateen Sarosh. Free Download Zindagi Ke Saz Par Jalte Hue Naghmat Hain in PDF.