Aankhon Mein Bas Gaya Koi Banhon Se Dur Hai

aankhon mein bas gaya koi banhon se dur hai

chaha hai chand ko yahi apna qusur hai

dozaKH mein ji raha hun isi ek aas pe

jannat ko koi rasta jata zarur hai

main laDkhaDa raha hun sadaqat ki rah pe

is ruh pe abhi bhi badan ka surur hai

ye raushni ke dagh ujale to hain nahin

qasir sa aasman ke sitaron ka nur hai

ab kya bataen tum ko sifat dil ke dagh ki

hum muflison ke pas koi koh-e-nur hai

bhagwan ban gaya hai mera yar aaj kal

rahta hai sath phir bhi lage dur dur hai

kyun ishq ki karah gadagar ki aah ho

kya husn ka ghurur KHudai ka nur hai

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Bas Gaya Koi Banhon Se Dur Hai In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Aankhon Mein Bas Gaya Koi Banhon Se Dur Hai is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Aankhon Mein Bas Gaya Koi Banhon Se Dur Hai for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Aankhon Mein Bas Gaya Koi Banhon Se Dur Hai in PDF.