Isi KHatir To Uski Aarti Humne Utari Hai

isi KHatir to us ki aarti hum ne utari hai

ghazal bhi man hai aur us ki bhi sheron ki sawari hai

mohabbat dharm hai hum shairon ka dil pujari hai

abhi firqa-paraston pe hamari nasl bhaari hai

sitare chand suraj phul jugnu sath hain har-dam

koi sarhad nahin aisi ajab duniya hamari hai

wo dil ke dard ki KHushbu ka aalam hai ki mat puchho

tumhaari yaad mein ye umr jannat mein guzari hai

ye duniya kya sudhaaregi hamein hum to hain diwane

hamin logon ne ab tak aql duniya ki sudhaari hai

(419) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi KHatir To Uski Aarti Humne Utari Hai In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Isi KHatir To Uski Aarti Humne Utari Hai is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Isi KHatir To Uski Aarti Humne Utari Hai for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Isi KHatir To Uski Aarti Humne Utari Hai in PDF.