Tab Us Ka Zahr Usi Ke Badan Mein Bhar Jae
tab us ka zahr usi ke badan mein bhar jae
agar zaban na chalae to sanp mar jae
khaDi hai dar pe ajal aur mujh mein jaan nahin
kaho wo der se aai hai apne ghar jae
koi charagh jahan raushni ka zikr kare
siyah raat ka chehra wahin utar jae
wo barg-e-KHushk jise shaKH ne lataD diya
hawa ke sath na jae to phir kidhar jae
ye jo charagh hawaon ki dhun pe raqsan hai
use batao abhi waqt hai sudhar jae
adab ki soch yahi hai tumhaara tir nahin
tumhaara sher dil-o-jaan mein utar jae
tere bayan mein KHushbu hai raushni dil mein
'mayank' sab ki tamanna hai tu bikhar jae
(369) Peoples Rate This