Wahi Azab Wahi Aasra Bhi Jine Ka

wahi azab wahi aasra bhi jine ka

wo mera dil hi nahin zaKHm bhi hai sine ka

main be-libas hi shishe ke ghar mein rahta hun

mujhe bhi shauq hai apni tarah se jine ka

wo dekh chand ki pur-nur kahkashaon mein

tamam rang hai KHurshid ke pasine ka

main pur-KHulus hun phagun ki dopahar ki tarah

tera mizaj lage pus ke mahine ka

samundaron ke safar mein sambhaal kar rakhna

kisi kuen se jo pani mila hai pine ka

'mayank' aankh mein sailab uTh na pae kabhi

ki ek ashk musafir hai is safine ka

(420) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Azab Wahi Aasra Bhi Jine Ka In English By Famous Poet Mayank Awasthi. Wahi Azab Wahi Aasra Bhi Jine Ka is written by Mayank Awasthi. Read famous Poem Wahi Azab Wahi Aasra Bhi Jine Ka for youth and Student by Mayank Awasthi. Free Download Wahi Azab Wahi Aasra Bhi Jine Ka in PDF.