Ek Guzarish Hai Bas Itna Kijiye

ek guzarish hai bas itna kijiye

jab kabhi fursat ho aaya kijiye

log is ka bhi ghalat matlab na len

ajnabiyyat se na dekha kijiye

KHud ko apni aankh se dekha to hai

ab meri aankhon se dekha kijiye

iltija thi ek sada iltija

apni tanhai mein socha kijiye

yaad to hogi wo apni be-ruKHi

ab meri taswir dekha kijiye

marham-e-zaKHm-e-suKHan ban jaiye

kuchh mere fan ka mudawa kijiye

ishq ko kab yaad thi rasm-e-wafa

husn ka kis munh se shikwa kijiye

zulmat-e-gham jab ziyaada ho 'imam'

sham-e-fikr-o-fan jalaya kijiye

(389) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Guzarish Hai Bas Itna Kijiye In English By Famous Poet Mazhar Imam. Ek Guzarish Hai Bas Itna Kijiye is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Ek Guzarish Hai Bas Itna Kijiye for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Ek Guzarish Hai Bas Itna Kijiye in PDF.