Nai Barish Ki Rim-jhim Mein Libas-e-gham To Badlega

nai barish ki rim-jhim mein libas-e-gham to badlega

wahi rasm-e-chaman hogi magar mausam to badlega

wo qahr-e-shah-KHawar ho ki zahr-e-baad-e-sarsar ho

kisi surat mizaj-e-nazuk-e-shabnam to badlega

masihaon ne kuchh taza dawaen la ke rakkhi hain

nae zaKHm aaenge ab bhi magar marham to badlega

kafan resham ke maqtulon ko ab pahnae jaenge

azadaron ka tarz-e-girya-o-matam to badlega

nai saqi-gari ka jashn-e-fayyazi mubarak ho

wahi honge ayagh-o-jam lekin sam to badlega

nai nawak-zani hogi magar itna bhi kiya kam hai

ki jis aalam mein hum rahte hain wo aalam to badlega

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Barish Ki Rim-jhim Mein Libas-e-gham To Badlega In English By Famous Poet Mazhar Imam. Nai Barish Ki Rim-jhim Mein Libas-e-gham To Badlega is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Nai Barish Ki Rim-jhim Mein Libas-e-gham To Badlega for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Nai Barish Ki Rim-jhim Mein Libas-e-gham To Badlega in PDF.