Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte

tujhe bhi jaanchte apna bhi imtihan karte

kahin charagh jalate kahin dhuan karte

kai the jalwa-e-nayab tujh se pahle bhi

kis aasre pe tera naqsh jawedan karte

safina Dub raha tha to kyun na yaad aaya

teri talab tere arman ko baadban karte

mohabbaten bhi teri hain shikayaten bhi teri

yaqin tujh pe na hota to kyun guman karte

hawa thi tez jalate rahe dilon mein charagh

kaTi hai umr lahu apna raegan karte

wo be-jhahat ka safar tha sawad-e-sham na subh

kahan pe rukte kahan yaad-e-raftagan karte

dayar-e-KHwab mein Thahre hisar-e-gul mein rahe

magar ye gham hi raha KHud ko shadman karte

(451) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte In English By Famous Poet Mazhar Imam. Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Tujhe Bhi Jaanchte Apna Bhi Imtihan Karte in PDF.