Wahi Dasht-e-bala Hai Aur Main Hun

wahi dasht-e-bala hai aur main hun

zamane ki hawa hai aur main hun

tujhe ai ham-safar kaise sambhaalun

pahaDi rasta hai aur main hun

sukut-e-koh hai aur saya-e-dar

sada-e-ma-siwa hai aur main hun

magar shaKHon se patte gir rahe hain

wahi aab-o-hawa hai aur main hun

ye sari barf girne do mujhi par

tapish sab se siwa hai aur main hun

kai din se nasheman KHak-e-dil ka

sar-e-shaKH-e-hawa hai aur main hun

pahaDon par kahin barish hui hai

zamin mahw-e-dua hai aur main hun

mujhe bhi kuchh na kuchh karna paDega

zamana sar-phira hai aur main hun

(359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Dasht-e-bala Hai Aur Main Hun In English By Famous Poet Mazhar Imam. Wahi Dasht-e-bala Hai Aur Main Hun is written by Mazhar Imam. Read famous Poem Wahi Dasht-e-bala Hai Aur Main Hun for youth and Student by Mazhar Imam. Free Download Wahi Dasht-e-bala Hai Aur Main Hun in PDF.