Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai

ayaadat hoti jati hai ibaadat hoti jati hai

mere marne ki dekho sab ko aadat hoti jati hai

nami si aankh mein aur honT bhi bhige hue se hain

ye bhiga-pan hi dekho muskurahaT hoti jati hai

tere qadmon ki aahaT ko ye dil hai DhunDta har dam

har ek aawaz par ek thartharahaT hoti jati hai

ye kaisi yas hai rone ki bhi aur muskurane ki

ye kaisa dard hai ki jhunjhunahaT hoti jati hai

kabhi to KHub-surat apni hi aankhon mein aise the

kisi gham-KHana se goya mohabbat hoti jati hai

KHud hi ko tez naKHunon se hae nochte hain ab

hamein allah KHud se kaisi ulfat hoti jati hai

(465) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai In English By Famous Poet Meena Kumari . Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai is written by Meena Kumari . Read famous Poem Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai for youth and Student by Meena Kumari . Free Download Ayaadat Hoti Jati Hai Ibaadat Hoti Jati Hai in PDF.