Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main

aankhon mein rang pyar ke bharne lagi hun main

aaina samne hai sanwarne lagi hun main

aankhon mein us ki pa ke ishaare wafaon ke

gahre samundaron mein utarne lagi hun main

manzil na qafila na musafir na rahbar

ye kaise raston se guzarne lagi hun main

ahbab ke fareb-e-musalsal ne ye kiya

parchhaiyon se apni hi Darne lagi hun main

aflak jab ana ke pighalte hue mile

par apni aarzu ke katarne lagi hun main

'mina' tasawwuraat mein parchhaiyan si hain

jaane ye zindagi hai ki marne lagi hun main

(421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main In English By Famous Poet Meena Naqvi. Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Aankhon Mein Rang Pyar Ke Bharne Lagi Hun Main in PDF.