Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein

kabhi ziyaada kabhi kam raha hai aankhon mein

ek intizar ka mausam raha hai aankhon mein

kabhi hai KHushk kabhi nam raha hai aankhon mein

Thahar Thahar ke ye zamzam raha hai aankhon mein

basa hua hai tasawwur mein ek hasin paikar

koi KHayal mujassam raha hai aankhon mein

nazar ke samne aai hain kitni taswiren

usi ka aks magar ram raha hai aankhon mein

wo qurbaton ka tasawwur wo lams ka jadu

sada-bahaar ye mausam raha hai aankhon mein

ulajh ke rah gae nindon ke KHwab palkon par

koi KHayal yun paiham raha hai aankhon mein

lab-e-KHamosh pe 'mina' hai nauha-e-hijran

darun-e-zat ye matam raha hai aankhon mein

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein In English By Famous Poet Meena Naqvi. Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Kabhi Ziyaada Kabhi Kam Raha Hai Aankhon Mein in PDF.