Phul Mahkae The Maine Shadmani Ke Liye

phul mahkae the main ne shadmani ke liye

har nafs ab mar rahi hon zindagani ke liye

kis tarah kaliyan khilen aur kis tarah mahken gulab

tang ho jae zamin jab baghbani ke liye

sabr ki had se guzar jati hai sahraon ki pyas

KHushk ho jata hai jab dariya hi pani ke liye

us ki chahat us ki qurbat us ki baaten us ki yaad

kitne unwan mil gae hain ek kahani ke liye

us liye hum ko nahin baKHsha gaya koi makan

kyunki hum paida hue the be-makani ke liye

talKHiyon se waqt ki jo ho gae nashtar-sifat

lab the wo mashhur apni KHush-bayani ke liye

waqt ke jalte hue suraj ki tapti dhup mein

is ki yaadon ke shajar hain saebani ke liye

shairi ki barishon mein bhige bhige tere lab

rab ka hai inam 'mina' be-zabani ke liye

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phul Mahkae The Maine Shadmani Ke Liye In English By Famous Poet Meena Naqvi. Phul Mahkae The Maine Shadmani Ke Liye is written by Meena Naqvi. Read famous Poem Phul Mahkae The Maine Shadmani Ke Liye for youth and Student by Meena Naqvi. Free Download Phul Mahkae The Maine Shadmani Ke Liye in PDF.