Pesh-e-zamin Rahun Ki Pas-e-asman Rahun

pesh-e-zamin rahun ki pas-e-asman rahun

rahta hun apne sath main chahe jahan rahun

kaisa jahan kahan ka makan kaun la-makan

yani agar kahin na rahun to kahan rahun

ai ishq mera hona na hona hai mujh talak

ab main nishan khinchun ki main be-nishan rahun

kya DhunDhta rahun main yunhi dahr mein sabaat

kya marg-e-na-gahan ke liye na-gahan rahun

KHakistar-e-sitara hai aainda-e-numu

behtar yahi hai main kisi jaanib rawan rahun

(413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pesh-e-zamin Rahun Ki Pas-e-asman Rahun In English By Famous Poet Meer Ahmad Naved. Pesh-e-zamin Rahun Ki Pas-e-asman Rahun is written by Meer Ahmad Naved. Read famous Poem Pesh-e-zamin Rahun Ki Pas-e-asman Rahun for youth and Student by Meer Ahmad Naved. Free Download Pesh-e-zamin Rahun Ki Pas-e-asman Rahun in PDF.