Aashna Jo Maza Ka Hota Hai

aashna jo maza ka hota hai

apne haq mein wo kanTe bota hai

shaiKH-ji ek roz mujh ko 'asar'

lage kahne abas tu rota hai

in buton ke liye KHuda na kare

din-o-dil yun koi bhi khota hai

na tujhe din ko chain hai ek aan

ek dam raat ko na sota hai

main kaha KHub sun ke ai nadan

ja mashiKHat ko kyun Dubota hai

tu hai mullan teri bala jaane

aashiqi mein jo kuchh ki hota hai

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashna Jo Maza Ka Hota Hai In English By Famous Poet Meer Asar. Aashna Jo Maza Ka Hota Hai is written by Meer Asar. Read famous Poem Aashna Jo Maza Ka Hota Hai for youth and Student by Meer Asar. Free Download Aashna Jo Maza Ka Hota Hai in PDF.