Be-kasi Mein Asar Yagana Hai

be-kasi mein asar yagana hai

dil bhi us ka nahin begana hai

gharaz aaina-dari-e-dil se

tera jalwa tujhe dikhana hai

misl-e-naqsh-e-qadam mein jab tain hun

aankhen hain aur ye aastana hai

yahi tar-e-nafas ki aamad-o-shud

jama-e-tan ka tana-bana hai

gale milna na go ki hath lage

lek manzur dil milana hai

nam anqa nishan tere ka

jun nagin dil mein aashiyana hai

dost dushman sabhi hue hain tere

kya burai ka ab zamana hai

dil-e-gum-gashta ko main DhunDun kahan

na kahin Thor ne Thikana hai

hai diwana ba-kar-e-KHud hoshyar

ye na samho 'asar' diwana hai

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-kasi Mein Asar Yagana Hai In English By Famous Poet Meer Asar. Be-kasi Mein Asar Yagana Hai is written by Meer Asar. Read famous Poem Be-kasi Mein Asar Yagana Hai for youth and Student by Meer Asar. Free Download Be-kasi Mein Asar Yagana Hai in PDF.