Dekh Kar Dil Ko Pech-o-tab Ke Bich

dekh kar dil ko pech-o-tab ke bich

aa paDa muft main azab ke bich

kaun rahta hai tere gham ke siwa

is dil-e-KHanuman-KHarab ke bich

tere aatish-zadon ne misl-sharar

umr kaTi hai iztirab ke bich

kya kahun tujh se ab ke main tujh ko

kis tarah dekhta hun KHwab ke bich

shama fanus mein na jab ke chhupe

kab chhupe hai ye munh naqab ke bich

Tuk tabassum ne ki shakar-rezi

bare ab talKHi-e-itab ke bich

kya kahe wo ki sab huwaida hai

shan teri teri kitab ke bich

hai ghulami 'asar' ko hazrat-e-'dard'

ba-dil-o-jaan teri janab ke bich

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Dil Ko Pech-o-tab Ke Bich In English By Famous Poet Meer Asar. Dekh Kar Dil Ko Pech-o-tab Ke Bich is written by Meer Asar. Read famous Poem Dekh Kar Dil Ko Pech-o-tab Ke Bich for youth and Student by Meer Asar. Free Download Dekh Kar Dil Ko Pech-o-tab Ke Bich in PDF.